Wikipedia

Search results

Thursday 7 July 2016

"Meri Sardi"
Yeh dilli ki garmi..
Aur uske upar meri sardi..
Kabhi lagta hai naak kholke fek du..
Fir sochta hun ..iske bina main saas kaise lu..
Haye yeh confusion..
Life me kitne saare tension..
Kitne doctoro ko dikhaya .. koi fayda nahi..
Kitne vaidyo ko dikhaya.. koi ilaaj nahi..
Lagta hai ab kisi plumber ko bulana padega..
Usse bhi nahi huwa toh naak chunwana padega..
Kisi ne kaha “bhai, try some haldi”..
Unko kya pata main aur meri sardi..
Yeh chodne ke liye raazi nahi..
Aur mujhe iska jeena nahi..
Haye kaise fas gaya main is kashmakash me..
Jaise Abhimanyu fasa kaurawon ke chakravyuh me…
Haye mere naak…main tera kya karu!!...
Khatam hogaya saala pura bottle ka daaru..
Kyunki kisi ne kahaa tha rum se theek ho jayega
Usko ghanta pata tha mera naak rum ko bhi fail kar jayega..
“Ziddi” ke Sunny paaji se bhi jyada ziddi ho gaya hai..
Sardi ke saath yeh tujhe kaisa pyar hogaya hai!!...
Jinhone meri yeh kavita padhi unka tehe dil se shukriya..
Yehi hai main aur mere naak ki chhoti si dukhbhari daastaan!!...
PS- koi bhool ho gayi ho toh kripaya maaf kardena. Pehli baar hindi me likh raha hu!! 

No comments:

Post a Comment